![]() |
|
![]() |
|||||||||||
![]() |
![]() |
||||||||||||
Ok, here's the final version: Wo Ek Lamha ------------------ tanha tha wo ek lamha, jhijhak ke jo kahin chala na jaane kaun si dariyaon mein bah ke kahin chala abhi bhi hai nigahon mein, halki si chubhan uski teri yaadon ne laaye kuch jo ansoo, wo jhatak chala chala wo sar jhukaye aasmaanon mein ghtaon mein kabhi khush ho gaya aur kabhi mayoos ho chala teri ummeed ke saaye mein jaane kab kahan nikla kabhi kuch khojne nikla, kabhi yoon hi bhatak chala wo lamha ja raha shayad teri sanson ki sarhad tak liye ek aas ka dhaaga na jaane kab nikal chala charaag main jaloon kya, ki wo dekh aaye fir tumko runansaa sa koi jazba mere dil mein khatak chala nighahein door tak daudi magar lamha na wo aaya tadap ke aur ek lamha jo haathon se pighal chala yoon hi fir dard ke jaamon ke ghoont main peeta hoon wohi ek pyaas ka lamha gale mein kuch atak chala
|
| © 2002-2008. Blurty Journal. All rights reserved. |