| Current mood: | peaceful |
| Current music: | Jee Chahe - Abida Parveen |
:)
Ji Chahe, Abida Parveen
Hori hoye rahi hai ahmad jiya ke dwar Hori hoye rahi hai ahmad jiya ke dwar Hajrat Ali ka rang bana hai Hassan Hussain khilad Hori hoye rahi hai ahmad jiya ke dwar Hori hoye rahi hai ahmad jiya ke dwar
Aiso hori ki dhoom machi hai Aiso hori ki dhoom machi hai Chahu or padi hai pukar Aiso anokho chatur khiladi Aiso anokho chatur khiladi Rang diyo sansar
Niyaz piyara bhar bhar cchidki Niyaz piyara bhar bhar chidki Ek ki rang sahas pichdar
Hori hoye rahi hai ahmad jiya ke dwar Hori hoye rahi hai ahmad jiya ke dwar
2.
Ji chahe to sheesha ban ja, ji chahe paimana ban ja Sheesha paimana kya ban na , mai ban ja, maikhana ban ja Ji chahe to sheesha ban ja, ji chahe paimana ban ja Sheesha paimana kya ban na, chahe to paimana ban ja
Mai ban kar, maikhana ban kar, masti ka afsana ban ja Masti ka afsana ban kar, hasti se begana ban ja Hasti se begana hona, masti ka afsana ban na Is hone se, is ban ne sa, accha hai deewana ban ja
Hasti se begana hona, masti ka afsana ban na Is hone se, is ban ne se, accha hai diwana ban ja
Deewana ban jane se bhi, deewana hona accha hai Deewana ban jane se bhi, deewana hona accha hai
Deewana hone se accha, khak-e-dar-e-jana ban ja Deewana hone se accha, khak-e-dar-e-jana ban ja
Khak-e-dar-e-jana kya hai, ahle-dil ki ankh ka surma Khak-e-dar-e-jana kya hai, ahle-dil ki ankh ka surma
Shamma ke dil ki thandak ban ja, noor-e dil-e-parwana ban ja Shamma ke dil ki thandak ban ja, noor-e dil-e-parwana ban ja
Seekh zahin ki dil se jal na, kahe ko har shamma pe jal na? Seekh zahin ki dil se jal na, kahe ko har shamma pe jal na?
Apni aag me khud jal jaye, tu aisa parwana ban ja Apni aag me khud jal jaye, tu aisa parwana ban ja
Seekh zahin ki, seekh zahin ki, seekh zahin ke dil se jal na Tu aisa parwana ban ja.
~~ I don't have the album cover and couldn't find the poet online. Will update this once I do tomorrow.~~
pleiades
(Read comments)
|